Ishq-e-aazam mein samaana hai, sab kuch bhool kar,
Yaad karna ha khuda ko, khud ko bhool kar
Ho kar bhi nahin hona, milkar tujhse tujhme kho jaana hai
Maula tere noor se, mere noor ko milaana hai…
Tu haq, tu badshah, imaan tu, rehman tu,
Tere dum se dum chale mera, zidagi meri hai, ehsan tera
Tujhe yaad kar mawla, baaki sab kuch bhoolana hai
Maula tere noor se, mere noor ko milaana hai…
Uljha hua hoon kabhi duniyadari, kabhi khuddari mein
Doosron ke pehluon mein dhoondta tere aanchal ko
Jholi bhale ho khali, par ankhon ko toh bhar hi aana hai
Maula tere noor se, mere noor ko milaana hai…
Thak chukka hoon chal chal kar, ab thoda sa so jaana hai
Paa liya hai duniya ko, bas ab tujhe paana hai
Guroor tod saare, tere suroor mein samaana hai
Maula tere noor se, mere noor ko milaana hai…
No comments:
Post a Comment